Highway-8A

सर्वेश्वर दयाल जी की पंक्तियाँ है; 

” मैं ने कब कहा,

कोई मेरे साथ चले;

हाँ, चाहा ज़रूर “

~मेरी जिंदगी सिमट जाती है इनमें 

Ek taraf ek rishtay mein bandhi zindagi

Kabhi khushi de jaati hai

Or iska anzaada lgaana bhi mushkil ho jaata hai

Ke wohi rishtay aapke gham ki sabse badi wajah banege…

Tumse kabhi kuch bandha nahi tha

Naa bandhega

Naa hi mene kabhi bandhne ki koshish ki tumko,

“~ बंधन प्रेम का प्रमाण नहीं होते “

Apne baaton se palat jaana 

Or sahi ko galat tehrana toh khair tumhare profession ka hissa raha hai

Wakeel jo thehrey tum

Naa jaane kitne dukh, dard or takleefo se guzra hoga humaara rishta

Or aisa rishta jo kabhi mukammal tha hi nahi;

Usme bas mein thi, tum kabhi the hi nahi.

Or is baat se mujhe ab farak nahi padta!

Chaahe jaise bhi thi cheze humaare darmiyaan, tum azeez the mujhko.

Bahott pehlu se guzri hai zindagi

Magar tumse Tab tak nafrat nahi hui Thi …

Magar abb hai…!!

Us raat Delhi Highway pe the hum dono…

Tumaari bike pe baithi hui mein

Hath me ek cup chai liye tum

Ek baat si baat pe tumney mere upar haath utha dia, or aaj afsoos tak tumney naa kia…

Me ghar mein sabse choti hoon

Sabki laadali

Hath kisi ne uthaya hi nahi kabhi

Or tum !!

Tumney to kuch chora hi nahi yaar us pal.

Aaj bhi yaad hai wo bebasi…

Ek pal ko maano laga ke hosh mein nahi hoon.

Dusri pal yaad aaya ke ghar wapas jaana hai

Saamney tum the, or tumko afsoos tak naa tha

Aas paas khade log hum dono ko dekh re the

Or highway ki gaadio ka shor maano sunaai hi na dera ho…

Aisa nahi tha ke tumko jawaab nahi de sakti thi mein

Magar bachaane ko kuch bacha hi nahi tha

or tumko kuch keh paati aisi mohabbat tumse thi nahi

haan magar Afsoos zaroor tha – ke kabhi tum kisi waqt par mohabbat the meri…

magar

Us din is baat ka ehsaas hua ke mohabbat toh tumko kabhi hui nahi mujhse

kal tak lagta tha jo tha wo sahi kar lenge hum sath me… magar ;

Or us raat ghar tak ka safar meri zindagi ke sabse mushkil safar mein se ek hai…

Ek jamaane bhar ki himmat lagti hai yaar, jo nazar aa raha – usko nazar andaaz Naa karne mein!!

Or jitna afsoos us baat ka nahi hua

Usse kaii jyada afsoos to is baat ka tha ke tumko aaj tak ye lgta hai

Ke jo tumney kia wo theek kia…

Or sahi bhi hai…

Pyaar khatam ho jaana kisi rishtay ka annat nahi hota

Us rishtay ki bebasi btaati hai ke ab isme bachaane ko kuch bhi bacha nahi hai

एक बात ठोक-पीट के समझाई की, “start drawing boundaries” 

~ and I am doing it now. 

हर जगह, हर रिश्ते में। 

यकीन मानिए दुखेगा पर सुकून होगा ।

और एक बात मैंने खुद से कही, 

*”अब ना मौके देने हैं , ना माफी’ 

~तो बस अब धक्के दे रही हूँ ! ”*

तुमको कभी माफ नहीं करूंगी, कभी नहीं।

बद्दुआ नहीं है पर दुआ भी नहीं है। 

ना होगी। 

पहले सोचा था, तुम्हारे बारे कभी ना लिखूंगी;

Magar लिखूंगी नहीं तो ज़हन से खदेड़ नहीं पाऊंगी ! और ये वादा रहा खुद se तुमको ऐसे मिटाऊंगी ज़हन से जैसे कभी थे ही नहीं !

जहाँ रहो इस ख्याल के साथ रहो कि तुम किसी की 

तकलीफ़ की वजह हो !

आगे कुछ ना कहना उचित है।

~ Apoorva | अपूर्वा

Leave a comment